Friday, April 27, 2012

Koi Dewana Kehta hai - Poetry

Koi dewana kehta hai koi pagal samajhta hai

Magar dharti ki bechaini ko bas badal samajhta hai

Main tujhse dour kaisa houn tu mujhse dour kaisi hai

Yeh tera dil samajhta hai yam era dil samajhta hai

 

Muhabbat aik ehsaasoun ki pawan si kahani hai

Kabhi kabera dewana tha kabhi meera dewani hai

Yahaan sab loag kehtay hein meri aankhoun mein aansoun hein

Jo tu samjhay to moti hein jo na samjhay to pani hein

 

Samundar peer ka andar hai lekin ro nhi sakta

Yeh ansoo pyaar ka moti hai isko kho nhi sakta

Meri chahat ko apna tu bana lena magar sun ley

Jo mera ho nhi paaya wo tera ho nhi sakta

 

Bharman koi komudni per macha betha to hangaama

Hamaray dil mein koi khaab pal betha to hangama

Abhi tak toat k suntay thay sab kisa muhabbat ka

Main kisay ko haqeeqat mein badal betha to hangaama.

0 comments:

Post a Comment